Monday, April 2, 2012

Bachpan Mera Kahi Kho Gaya..

Bachpan mera kahi kho gaya,
Lagta hain main bada hogaya,

Building ground galiyo main...
Cricket khelte the hum chaliyo main...
Khelne ka samay na jane kaha gaya...
Lagta hain main bada hogaya.

Dosto ke sath ratko ghumne jana...
Phir bara baje ke baad ghar ana...
Kam kam main sab bhul gaya...
Lagta hain main bada hogaya.



Dukhi hoke bhi sabko kush banao...
Acha karo aur Acha Fal Pao...
Haste Haste main ro gaya
Lagta hain main bada hogaya.

-Abhishek Vohera


0 comments:

Post a Comment